Lal Krishna Advani to Receive Bharat Ratna at 96: PM Modi Announces Historic Honor on Social Media

Lal Krishna Advani, jo Bharatiya Janata Party (BJP) ke senior neta hain, unhein 96 saal ki umr mein desh ke sabse bade nagrik sammaan,  Bharat Ratna se nawaza jayega. Is khushi ki khabar ko Prime Minister Narendra Modi ne Shaniwar ko social media par share kiya.

Lal Krishna Advani to Receive Bharat Ratna at 96: PM Modi Announces Historic Honor on Social Media
Lal Krishna Advani to Receive Bharat Ratna at 96: PM Modi Announces Historic Honor on Social Media

Pradhan Mantri Modi ne social media par Advani ke saath apni 2 tasveeren share ki aur likha - "Mujhe yah batate hue bahut khushi ho rahi hai ki Lal Krishna Advani ji ko Bharat Ratna se sammanit kiya jayega. Maine unse baat bhi ki aur unhein yah samman diye jaane par badhai di."

2014 mein satta sambhalne ke baad se Pradhan Mantri Narendra Modi ke netritva wali sarkar dwara diya gaya yah saatva Bharat Ratna hai. Advani se pehle 23 January ko Bihar ke purv CM Karpoori Thakur ko Bharat Ratna (maranoparant) dene ka ilaan kiya gaya hai.

Iske alawa Madan Mohan Malaviya, Atal Bihari Vajpayee, Pranab Mukherjee, Bhupen Hazarika, aur Nanaji Deshmukh ko yah samman mil chuka hai. Kendra sarkar ek saal mein 3 logon ko yah samman de sakti hai.

PM Modi ने क्या कहा

Modi ne kaha - Desh ke vikas ke liye unka yogdan koi bhool nahi sakta. PM ne likha, 'Ve hamare samay ke sabse sammanit statesman hain. Desh ke vikas ke liye unka yogdan koi bhool nahi sakta. Unhone zameeni star se kaam shuru kiya tha aur ve desh ke uppradhanmantri pad tak pahunch gaye. Ve desh ke grihmantri aur sushna-prasaran mantri bhi rahe.

Unki sansadiya karyashaili hamesha anukarniye rahegi.' 'Sarvajanik jeevan mein Advani ji dashakon tak pardarshita aur akhandata ke prati atoot pratibaddh rahe. Unhone rajneetik naitikta mein ek anukarniye maanak sthapit kiya hai. Unhone rashtriya ekta aur sanskritik punaruthhan ko aage badhane ki disha mein abhootpurv prayas kiye hain.

Unhe Bharat Ratna se sammanit kiya jana mere liye bahut bhavuk moment hai. Main ise hamesha apna saubhagya manunga ki mujhe unke saath baatcheet karne aur unse seekhne ke anaginat mauke mile.'

Lal Krishna Advani का जीवन परिचय

Lal Krishna Advani ka janm 8 November 1927 ko Karachi mein hua tha. 2002 se 2004 ke beech Atal Bihari Vajpayee ki sarkar mein 7th Upa-Pradhan Mantri rahe. Isse pahle 1998 se 2004 ke beech NDA sarkar mein Grah Mantri rahe. Ve BJP ke founders members mein shamil hain.

Lal Krishna Advani to Receive Bharat Ratna at 96: PM Modi Announces Historic Honor on Social Media
Lal Krishna Advani to Receive Bharat Ratna at 96: PM Modi Announces Historic Honor on Social Media

Shree Ram Mandir आंदोलन मे हिस्से दारी



'Ram Mandir Andolan ke liye Lal Krishna Advani ne 63 saal ki umr mein Gujarat ke Somnath se Ayodhya tak Rath Yatra nikali thi. 25 September 1990 se shuru hui is yatra ki kamaan maujooda Pradhan Mantri Narendra Modi ke saath BJP ke divangat neta Pramod Mahajan se sambhali thi.

Yah Advani ki Rath Yatra ka hi kamal tha ki 1984 mein do seat jeetne wali BJP ko 1991 mein 120 seats mili. Itna hi nahi, Advani ne poore desh mein ek Hindutva neta ke roop mein pehchaan banai. Iske alawa Madhya Pradesh, Uttar Pradesh, Gujarat, Bihar jaise rajyon mein BJP ko nayi pehchaan mili.

Is yatra ke baad Advani poore desh mein Hindutva neta ke roop mein sthapit hue the, lekin unhone apni yatra poori nahi kar paaye the. Unhe Bihar ke Samastipur mein 23 October 1990 ko arrest kar liya gaya tha.'


Lal Krishna Advani के बेटे ने इस खबर पर क्या कहा

Is khabar ko sunkar poora parivaar khush hai. Iske saath hi L.K. Advani ke bete Jayant Advani ne bhi apni pratikriya di hai. BJP ke varisht neta aur Lal Krishna Advani ke bete Jayant Advani ne kaha "ki kuch samay pahle hi maine is khabar ke baare mein suna ki mere pita ko Sarvochch Nagrik Puraskar, Bharat Ratna se sammanit kiya jayega unke liye mei bahut jyada khush hoon."




Lal Krishna Advani की बेटी ने इस खबर पर क्या कहा

LK Advani ke parivaar ne PM Modi ko is faislay ke liye dhanyavad diya, unke bete Jayant Advani ne kaha ki 'unke prayas ko pehchaan mili hai.' Veteran neta ke beti, Pratibha Advani, ne is mauke ko manane ke liye apne papa ke saath mithaiyan baantkar khushi ka izhaar kiya.



Conclusion

PM ke ghoshna ke baad issi saal milega LK Advani ko bharat ratan puraskar, 
Lal Krishna Advani, jo Bharatiya Janata Party (BJP) ke senior neta hain, unhein 96 saal ki umr mein desh ke sabse bade nagrik sammaan, Bharat Ratna se nawaza jayega. Is khushi ki khabar ko Prime Minister Narendra Modi ne Shaniwar ko social media par share kiya.

FAQ

1 - क्या है Lal Krishna Advani की उम्र ?

     LK Advani ki umr 96yr hai unka janam 9 nov 1927 mei hua tha

2 - Lal Krishna Advani के बेटे का नाम क्या है ?

        LK Advani ke bete ka naam jayat advani hai

3 - Lal Krishna Advani की बेटी का नाम क्या है ?

         LK Advani ki beti ka naam  Pratibha Advani hai

4 - Lal Krishna Advani को भारत रत्न क्यों दिया जाता है ?

        Unhone kaha ki Advani "hamare samay ke sabse sammanit rajnetaon mein se ek hain"            aur Bharat ke vikas mein unka yogdan avismarniye hai. "Unka jeevan zameeni star par            kaam karne se shuru hokar hamare uppradhanmantri ke roop mein desh ki seva karne            tak ka hai. Unhone hamare grih mantri aur sushna evam prasaran mantri ke roop mein            bhi khud ko prathisthit kiya."
Previous Post Next Post

نموذج الاتصال